Excerpts From Muslimah's Diary



1.
"Ye baat dekhne me ati he ki aksar shadi shuda behen ya bhai jo jald hi nikah ke rishtey me bandhne wale hotey hen wo dusre ke maazi me kuch zyada hi dakhl dene lagt hen ya dilchaspi rakhtey hue logo ki kahi suni baato par yaqeen kartey hue uski taraf se bahut si galatfehmiya dil me betha lete hen jiska nateeja jhagdo, beyaqini ya zehni dabaw me samne aata he.

Main ik chhoti si misaal se iski mazeed wazahat karna chahungi, maan len aapne kisi se phal ka bagh kharidkar qeemat ada kardi , ab wo kehne lage ki is bagh me jo phal ped ki shaakho pr moujud hai unpar mera haq he, kya aap uski baat manenge ?? ...Harghiz nhi aap kahenge ki ji maine qeemat ada kardi ab is bagh ke ped, phal zameen tamam cheezo par mera haq he..... theek usi tarah jab aapne kisi ko apne liye qubool karliya he to uske maazi, haal aur mustaqbil par beshaq aapka haq he lekin jis tarah aap apne maazi ko nazarandaz ya usse seekhtey hue aghe baadh jana chahtey hen theek usi tarah apne hamsafar ke mutalliq bhi sochen, aapko isbat se farq nhi padna chahiye ki unka maazi kya raha aapko sirf itna karna he ki maazi ki ghaltiyo se seekhtey hue haal ko durust rakhna he aur mustaqbil se roushni ki umeed rakhni he, kyuki ye jo rishta khuda ki taraf se ata kiya jata he ye sirf khushi ke mousam me nibhane ka naam nhi he balki zindagi ke tamam mod par ek dusre ka hath thaamkar chalne ka naam he"

2.
'Nikah' ye lafz jitna khubsurat utna hi zyada ahem bhi he, do insano ko ek rishtey me bandhkar unki zaruriyat o khwahishat ko pura krne ke liye rab ka atakarda behetreen tariqa he, aaj ham dekhtey hen ki hamarey nou jawano ki aksariyat is halal o pak rishty ko khudse door karti ja rhi he jiske peeche vujuhaat bhi bahut bachkana hen koi kehta he abhi ye zimmedari nhi samnbhal saktey, kisi koi parhai karni he mazeed, kisi ke zindagi ko 'enjoy' krna he to koi kehta he abhi salary zyada nhi he ...
bhala ye btaen agar nikah ke zariye ek sathi aapko milta he to aise konsi zimmedariyo ka pahad toot jaega isle baraqs zindagi asaan o khushnuma hojaegi kyuki koi hoga apki zindagi me aap ke liye had east dua krne wala, muhabbate lutane wala, aur baat share karne laiq dost...
aur rahi baat enjoy krney ki apni zindagi ko to zara sochen ek hamsafar jiske sath aap apneh rab ka shukr o bandgi kren aur jiske labo Pr aapka naam atey hi muskan khil uthey Jo har din yhi koshish kre ki zindagi ko ek dusre ke sath haseen banana he, kabhi aapse roothe to kabhi manae... kya issey badhkar enjoyment sadko par awaragardi,gheebat,fahisha movies ya gaaney aapko de saktey hen? ...kya zehni sukoon mil paega is Sab me? ...
kuch log kehtey hen mazeed parhai me dhyan nhi lag paega ...ab isey Zara yu sochen der raat tak parhai me aapki shareek e safar coffee ya doodh ka glass dekar jae ki mazeed parh saken ..ya sisters aapke shareek e safar office jatey waqt pehle aapko exam centre drop Karen phir pick krna bhi apni hi zimmedari samjhen bajae iske ki bhari dhoop me auto ya bus ke dhakke khae Jaen...jab stress barh jaae to dono bethkar jokes crack Karen ya outing Pr jaaen ... ab bataen ye sab kistarah disturb kr skta he? ...
Saikdo aise favaid o vujuhaat hen jinpar agar nazar dali jaae to khud walidain aur hamarey noujawan Nikah ki ahmiyat ko jaan jaaen aur phir mujhe umeed he ki is haseen rishtey ko mazeed delay nhi kiya jaega, tehreer Zara taveel hogyi lihaza agli qist me shumaar kiya jaega inshaAllah ...

Credits : Sister Kezia's Diary

Comments

Popular posts from this blog

Mehar - The Sweet Dowry

Halal !! What does it means actually ??

Umm Salama - Mother Of Believers